Reflections
Kahi bhi chale jana
Zindagi ka ye na fasana
Har disha har mod dhundhla sa gaya hai
Parchai sundar si hai
Par zehan banjar si hai
Kisi mod par toh hum safar milega
Koi raaste toh baadhayein mukt honge
Isi aasha mein bus badhe chalti hu main
Par ab thak chuki hu
Zindagi ki kasmakash se
Zyada toh nai maangti
Chain hi toh chaha hai har din
Pehle jeeti thi main auro ke liye
Zindagi thi dikhaane ki
Ab jeena hai khud ke liye
Khushi chahein bus apni aur apno ke liye
Comments
Post a Comment